Fashion tips for college boys in india latest tips and tricks in hindi ~ fashionabldunia


Fashion tips for college boys in hindi

"Fashion tips for college boys credit :- #ranveerallahbadia"


 Namaste Dosto! Aaj hum baat karenge college fashion for students, Aur college dress code ke baare mein. Aapko iss blog mein main bataunga college dressing for boys ke baare mein.


Main shuru karunga footwear ke saath aura uske baad aapke upper aur lower wear ke fashion ko kaise accha kar sakte hain yeh bataunga. Agar aap yeh tips follow karoge toh aapko sirf girls ki hi nahi but sabki attention milegi.


Yeh teenage fashion trends for college boys ke liye maine special banayi hai. Aur aap iss blog ko padh kar indian college dressing 101 ke baare mein samajh jaoge. Kuki aapko college dress style for boys trends mein guide karne aa gaye hain aapka bada bhai...toh chaliye suru kerty hai...

Fashion tips for college boys in hindi
Fashion tips for college boys in hindi

College Dressing Tips

Agar aapko apne college mai sexxy dikhna hai smart dikhna hai then this blog will be a ultimate solution for you. Start karne se pehle mai aapko do(2) Golden Rules ke bare mai batana chahta hu college dressing ke bare mai.



1.Be PracticalCollege dressing par na zyada kharcha mat karo. Yaani ki don’t buy too many branded clothes. Wese aap college show-off karne ke liye nai jaa rahe ho, aap college khud ko socialize karne ke liye jaa rahe ho or khud ke sexxyness ko dikhane jaa rahe ho. and our next rule is


2.Stand Out–  Jo bhi kapde chun rahe ho na pehn-ne ke liye college mai, Aapko aese kapde chun-ne chahiye jiski badolat aap stand-out kar sakte ho. Let me define you- Mostly na college ke ladke drssing ke bare mai zyada nai jaante, fashion ke bare mai zyada nai jante hai.


Agar thoda sa stand-out karna hai na to thode se basic rule seekh lo i will teach you some basic tricks. Aap iss trick ka fayda uthao. Aur in trick ki madad se aap kisi bhi college crowd mai sabse well dressed bande kehlaoge. so lets start...


1. Shoes

Dekho friends college ek aesi jagah hai jaha aapko apni first impression ko bohot zyada importance deni chahiye. Yaani ki wo thought aata hai na jab aapko koi pehli bar dekhte hai. Usse kehte hai first impression.


Agar aapko tagdi si impression banani hai na then the shoes you select should be very sexxy, very stylish. Three Big No’s yaani ki ye teen shoes bilkul nai pehn-ne chahiye aapke college mai.


∆ Sports Shoes/ Gym Shoes

∆ Strap Sandals

∆ Crocs



Fashion tips for college boys in hindi
Shoes

Sports Shoes/ Gym Shoes



Fashion tips for college boys in hindi
Sandals

Strap Sandals



Fashion tips for college boys in hindi
Crocs

Crocs


Neeche ki do cheezen yani ki strap sandals and crocs hote hai bacho ke liye or pehli option hoti hai gym boys ke liye. Ye shoes aapko tabhi pehn-ne chahiye jab aap football ya cricket khel rahe ho.


Theek hai to baat aati ki aap college mai kya pehen sakte ho so let’s talk about the three Do’s…


Simple Flip Flops

Skate shoes- jo neeche se ekdum flat hota hai and upar se cotton sa material ka bna hota hai.

Casual Loafers- ye synthetic material se bane hote hai or aapko pairo ko zyada cover karke rakhte hai.



Fashion tips for college boys in hindi
Flip flops

Simple flip-flop

Fashion tips for college boys in hindi
Skate shoes

Skate shoes


Fashion tips for college boys in hindi
Casual loafers

Casual Loafers


To ye the aapke teen best options. Aur agar aapko shoes shopping ke bare mai zyada jan-na hai to aap hamara shoes shopping wala blog bhi zaroor padh sakte hai. To ab baat karte hai college fashion tip no. 2 ki…


Dekho dosto T-Shirts to hote hi hai zabardast par ek cheez jo under rated hoti hai men’s mai wo hai Pants.


2. Pants

Agar aapko stand-out pants chun-ni hai to wo hai Chinos. Chinos hote hai cotton pants. Theek hai, to jeans ke badle na kabhi-kabhi chinos pehna karo. Par mera ye bhi manna hai ki agar aapke pas jeans hai to theek hai ye aapki basic pants ho jaati hai. Just make sure you chosse Deep Blue Jeans.


Fashion tips for college boys in hindi
Black Chinos

Black Chinos


Yaani ki ek-dum simple aese. Dark-Blue-Jeans ka fashion aayega wapas. Abhi zamana chal raha tha toned jeans ka distressed jeans ka, wo zamana ab thoda chle jaa raha hai. Ab zamana hai simple deep blue jeans ka. Ye ek classic fashion sense hai jo kabhi out of fashion nai jaayegi.


Fashion tips for college boys in hindi
Jeans

Dark Blue Jeans


Par agar aapko jeans mai bhi thoda maza lana hai, aapko thode alag prakar ka jeans pehn-na hai to aap pehen sakte hai thode se colored or thode se faded jeans bilkul aese. Baat karte hai agle rule ke bare mai, baat karte hai t-shirts ke baare mai…


Fashion tips for college boys in hindi
Light grey jeans

Light Grey Jeans


3. T-Shirts

Dekho friends ye bhi ekdum simple hai, Agar aap shirt pehen rahe ho, t-shirt ya fir ek polo t-shirt pehen rahe ho to ek bohot hi simple rule hota hai-ekdum tight t-shirt mat pehno… Aur agar aap gym jane wale man ho to aapko tight t-shirt pehen kar dikhana nai chahiye ki ye dekho-ye dekho mere muscles, mai gym jata hu, isliye pehen raha hu itne tight kapde.


Aapko thode se chilled kapde pehn-ne chaiye jaha aapko ekdum breathing room ho, jaha aapko air ho. Par aapko itne bhi dheele(loose) kapde nai pehn-ne chahiye ki logo ko lage are yaar ye to apne bade bhai ke kapde pehn kar aa gaya, ye apne papa ke kapde pehn aaya…


To aapko kesi t-shirt pehn-ni chahiye…? Bilkul aesi- jo upper-body ekdum fit ho aur lower-body little loose and airy. Aapko life mai koi aese kapde nai pehn-ne chahiye jo zyada tight ya loose ho. Pehle to aapko fit ko importance deni chahiye.


Dekho kai log aese hote hai na ki unhe kisi ek prakar ki look achi lag gayi na to wo sara saal ek hi look ko repeat karte jaate hai. They only stick to t-shirt ya v-neck. Agar aapko agar college mai stylish dikhna hai to keep changing your looks.


Jese hafte mai 5 ya 6 din college jana hota hai to kabhi round neck pehen li, kabhi v-nech pehen li, kabhi polo pehen li ya kabhi kabhi shirt pehen li. So basically aapko apne look change karte rehna chahiye. Aur ab baat karte hai agla style tip ke baare mai…


Fashion tips for college boys in hindi
Round neck t-shirt

Round Neck T-Shirt

Fashion tips for college boys in hindi
V neck t-shirt

V Neck T-Shirt


Fashion tips for college boys in hindi
Polo neck t-shirt

Polo Neck T-Shirt


4. Accessories

Ab accessories mai kya aata hai…? Mere khayal se na college mai aapko played safe game khelni chahiye. Aap agar club jaa rahe ho tab aap chains pehn lo, wrist bands aate hai wo pehen lo. Par agar aap college jaa rahe ho to aapko thodi si sober look bhi rakhni chahiye ku? Kuki aap college sirf ladkiyon ko impress karne ke liye hi nai jaa rahe ho. Aap college padhne ke liye bhi jaa rahe ho. Maano aap class mai balck jacket blue jeans or chain daal kar chale gaye. To teacher kya sochegi?? So teacher ko bhi dimag mai rakho.


To bilkul basic accessory honi chahiye bilkul basic, elegant, simple watch. Zyada Expensive nai, Digital watch nai, Zyada flashy nai, zyada brand bhi nai.



Fashion tips for college boys in hindi
Watch

Watch


Agar aapko koi watch pehn-ni hai to wo bilkul minimalistic si design ki honi chahiye bilkul aesi- Simple band, thin dial and suttle. Aesi watch jis-se aapki look or bhi compliment ho jaati hai. Yaani ki jisse aapki look or bhi badh jaati hai. So keep a good boy image in college not a bad boy image in college. Baat karte hai agle tip ki….


5. Shades

So shades na weekends ke liye hote hai jab aap bahar jaa rahe ho na dosto ke sath tabhi aapko pehn-ne chahiye shades, glares.


Fashion tips for college boys in hindi
Shades

Shades


Don’t go to college to show off, Aap bad boy ban-ne college nai jaa rahe ho, Aap studd ban-ne college nai jaa rahe ho. Aap waha 4 saal ke liye waha padhoge and 4 saal padhne ke bad you will keep good memories not bad memories. And our final clothing tip hai yee….


6. Bags

Dekho bhaiyo baat aati hai bags ki to ye bhi na aapke fashion ka ek aspect hota hai. Ku..? kuki bags add to your overall look. Aapke pure college ki fashion sense complete hoti hai bags ke sath. Aur bohot bande na ekdum smartly drss karte hai, ekdum sexxy dress karte hai or bag chote bache jesa laate hai. Wo bhi thodi si galat baat hoti hai…


Agar aapko sach mai apni look complete karni hai na to aapko ek basic black bag ya fir navy color ka bag lena chahiye. Zyada design bhi nahi hona chahiye very importantly wo bag ekdum bulky bhi nai hona chahiye. Bulky bag se bhi aap ek-dum bachon ke jese dikhoge.


Fashion tips for college boys in hindi
Colour bags

College Bag


Rule’s for Bag

So rule for bags- is you want to keep a simple colors like black, grey, navy blue nothing bright or very importantly aap thoda sa patla bag khareed lo. Because aap abhi school mai nahi ho ki aapko sari books and notes bag mai rakhne hai. Bass aapko thode se notes thode se books apne bag mai rakhna hai.


So bags ki baat ho hi rahi hai to ek baat or bags ko pakdne ke bhi do tarike hote hai apni body par ek hota hai single strapping and dusra hota hai double strapping. So agar aap bag ko pakad rahe ho na to apni back ko bend(slouch) mat karo ek-dum bechaara type . Aapko double strapping ke tym hamesha seedhe khade rehna chahiye so that ki aap confident dikho and conversation enjoy karo so be confident.


Aur agar aapko single strapping karni hai to bag ko latkao nahi keep you bag straight, your back shuld be straight and be confident. To dosto ye ho gaye hamare college dressing ke tips. Par dosto aapko ek bat or dyan mai rakhni chahiye ki agar aapko college mai sach mai sexxy dikhna hai to its all about sending confident and good vibes to the world. That's more than enough for  Fashion tips for college boys in hindi


To ye tha hamara College fashion for Men blog jisme humne 6 alag-alag prakar ke fashion tips ke bare mai baat ki. Aasha karta hu ki mera ye blog  pasand aaya hoga. Aur agar aapko hamara ye post acha laga to share krna mat bhuliye. 


agar app is ka video dekhna chate hai toh blue link per click kare 

credit :- #ranveerallhbadiya 


Thanks for reading




Post a Comment

0 Comments